UsKi Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai
MujhSe Khafa HoKe Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhe Bhi Saath Jalata Hai
UsKo Manate Hue Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhe Manata Hai
Khud Hi Sawal KarKe Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Mere Sine Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai
Us Ek Pal Ke Sadqe Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehte Hue Dheere Se Muskurata Hai
Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Pyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aate Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai
Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beete Hue Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhe Batata Hai
Mere Bagher Kese Guzri Us Ki Kal Ki Raat
UsKi Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai..
Post a Comment