Naya ek Rishta paida kyun karein Hum
Bicharna hai to jhagra kyon karain Hum,

Khamoshi se ada ho rasm.E.Duri

Koi hungama barpa kyon karain Hum,

Ye kafi hai k Hum dushman nahi hain

Wafa-Dari ka da'awa kyon karain Hum,

Wafa, ikhlaas, qurbani, Mohabbat

Ab in lafzon ka peecha kyon karain Hum.

Post a Comment

 
Top