Guftago achi lagi, Zoq-e-nazar acha laga,
Mud'daton k bad koi humsafar acha laga,

Zindagi ki be_sar-o-samaniyon k bawajood,
Aaj tu aaya to mujh ko apna ghar acha laga,

Manzilon ki baat chhoro, kis ne payein manzilain,
Ek safar acha raha, Ek humsafar acha laga,

SOCH kar main ne chuni hai aakhri aaram gaah,
Main tha matti aur mujhe matti ka ghar achha laga..............

Post a Comment

 
Top