Wo shakhs to Tabinda Sitaron ki tarha tha
Mash'hoor jo Dushman mein b Yaaron ki tarha tha

Us Shakhs k Aany se Khil Uthti thi hr Shay
Wo Shakhs to jaisy k Baharon ki tarha tha

Sunta tha Wo hr Baat bary Ghor sy Meri
Rehta magr Chup Chaap Diwaron ki tarha tha

Us Shakhs k Aasab to Pathar ki tarha thy
Ab Tota to bikhra wo Akhbaron ki tarha tha

Uljha huwa rehta hai Wo ik Mudat sy
Wo Shakhs jo Pur-Noor Nazaron ki tarha tha.........

Post a Comment

 
Top